Taarif Karoon Kya Uski - From "Kashmir Ki Kali" Songtext - Mohammed Rafi

Taarif Karoon Kya Uski - From "Kashmir Ki Kali" - Mohammed Rafi

Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Ek cheez qayamat bhi hai
Logon se suna karte the
Tumhe dekh ke maine mana
Woh theek kaha karte the
Woh theek kaha karte the

Hai chaal mein teri zaalim
Kuch aisi bala ka jaadu
Sau baar sambhala dilko
Par ho ke raha bekabu
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Har subah kiran ki lali
Hai rang tere gaalo ka
Har shaam ki chadar kali
Saaya hai tere balo ka

Har subah kiran ki lali
Hai rang tere gaalo ka
Har shaam ki chadar kali
Saaya hai tere balo ka

Tu balkhati ek nadiya
Har mauj teri angdaayee
Jo in maujo mein dooba
Usne hi yeh duniya payi
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Main khoj mein hoon manzil ki
Aur manzil paas hai meri
Mukhde se hata do anchal
Ho jaye door andhere
Ho jaye door andhere

Mana ke ye jalwe tere
Kar denge mujhe deewana
Jee bhar ke zara mein dekhun
Andaz tera mastana
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Yeh chandsa roshan chehra
Zulfon ka rang sunehra
Yeh jheel si neeli ankhen
Koi raaz hai inme gehra
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya

Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya
Taarif karun kya uski jisne tumhe banaya


Video: Taarif Karoon Kya Uski - From "Kashmir Ki Kali" von Mohammed Rafi

Teilen

Zeige deinen Freunden, dass dir Taarif Karoon Kya Uski - From "Kashmir Ki Kali" von Mohammed Rafi gefällt:

Kommentare