Hazaron Khwahishen Aisi
Quelle: Spotify
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
Nikalna khuld se aadam ka sunte aaye hain lekin
Bahut be-aabru hokar tere kuuche se hum nikle
Mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka (2)
Usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafir pe dam nikle
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle
Khuda ke vaaste parda na kaabe se uthaa zaalim (2)
Kaheen aisa na ho yaan bhi wahi kaafir sanam nikle
Kahaan maikhaane ka darwaaza Ghalib aur kahaan vaaiz (2)
Par itna jaantay hain kal voh jaata thaa ke ham nikle
Hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam nikle
Bahut niklay mere armaan, lekin phir bhi kam nikle...
Zeige deinen Freunden, dass dir Hazaron Khwahishen Aisi von Jagjit Singh gefällt:
Kommentare